le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya
mai-kasho sharm ki is par bhi na pina aaya
na pilana kisi mai-kash ko na pina aaya
tujh ko zahid agar aaya bhi to kina aaya
umr-bhar KHun-e-jigar baiTh ke pina aaya
aarzuo tumhein marna hamein jina aaya
dil ne dekha mujhe aur main ne falak ko dekha
bach ke sahil pe agar koi safina aaya
kisi badmast ki yaad aa gain aankhen saqi
jab chhalakta hua aage mere mina aaya
ek zara si thi kabhi ki KHalish us par ai hashr
dil mein leta hua zahid wahi kina aaya
laDkhaDana koi sikha koi sikha masti
hum ko aaya to faqat Dhaal ke pina aaya
KHush ho ai chashm ki hai fasl yahi rone ki
muzhda ai abr ki sawan ka mahina aaya
pi hi leni thi jo mai-KHane ko aa nikla tha
tujh ko sohbat ka bhi zahid na qarina aaya
chaha jo kuchh wo zamane ne kiya naqsh is par
main to sada liye is dil ka nagina aaya
aaj tak daman-e-gul chaak hai KHayyat-e-azal
tujh ko KHilat bhi hasinon ka na sina aaya
dekh chaaron taraf apne ki tamasha kya hai
le ke is bazm mein tu dida-e-bina aaya
munh pe aashiq ke mohabbat ki shikayat naseh
baat karne ka bhi nadan na qarina aaya
kis tarah milte hain bichhDon se dikha denge kabhi
dil mein wo tir agar chir ke sina aaya
Dhaal kar dete hain kis ko kise be-Dhaale hue
mere saqi ko to ye bhi na qarina aaya
zindagi karte hain kis tarah ye sikho is waqt
'shad' kya nafa agar marne pe jina aaya
Ghazal
Le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya
Shad Azimabadi