lazzat-e-gham baDha dijiye
aap phir muskura dijiye
chand kab tak gahan mein rahe
ab to zulfen haTa dijiye
mera daman bahut saf hai
koi tohmat laga dijiye
qimat-e-dil bata dijiye
KHak le kar uDa dijiye
aap andhere mein kab tak rahen
phir koi ghar jala dijiye
ek samundar ne aawaz di
mujh ko pani pila dijiye

Ghazal
Lazzat-e-gham baDha dijiye
Raaz Allahabadi