lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai
phir teri pahli nazar yaad aai
dard ne jab koi karwaT badli
zindagi bar-e-digar yaad aai
paD gai jab tere daman pe nazar
azmat-e-dida-e-tar yaad aai
apna khoya hua dil yaad aaya
un ki maKHmur nazar yaad aai
dair o kaba se jo ho kar guzre
dost ki rahguzar yaad aai
dekh kar us ruKH-e-zeba pe naqab
apni gustaKH nazar yaad aai
jab bhi tamir-e-nasheman ki 'qamar'
yurish-e-barq-o-sharar yaad aai
Ghazal
Lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai
Qamar Moradabadi