اردو हिंदी
LaTkai diwar pe kis ne hatim ki taswir | Shaahi Shayari
laTkai diwar pe kis ne hatim ki taswir

Ghazal

LaTkai diwar pe kis ne hatim ki taswir

Fasih Akmal

;

laTkai diwar pe kis ne hatim ki taswir
hath mein TuTe kase thame dauDe aae faqir

soch raha hai der se be-chaara ek majma-baz
sham talak kuchh hath na aaya din bhar ki taqrir

ganw ganw mang rahe hain qismat ki KHairaat
jannat dozaKH bechne wale shahri pir faqir

bhule-bisre lafz uchaT kar miTa gae mafhum
din ko paDhne baiThe jab bhi raat ki hum tahrir

jalti fikr ki zad par aa kar jhulsen jo alfaz
aae un alfaz se kaise sheron mein tasir