lams-e-tishna-labi se guzri hai
raat kis jaan-kani se guzri hai
us murassa nigar-KHane mein
aankh be-manzari se guzri hai
ek saya sa phaDphaData hai
koi shai raushni se guzri hai
luTne wale sath sath rahe
zindagi sadgi se guzri hai
kuchh dikhai nahin diya shayad
umr andhi gali se guzri hai
sham aati thi din guzarne par
kya hua kyun abhi se guzri hai
kitni hangama-KHeziyan le kar
ek sada KHamushi se guzri hai
aankh binai ke taaqub mein
kaisi la-hasili se guzri hai

Ghazal
Lams-e-tishna-labi se guzri hai
Yasmeen Habeeb