lamha lamha shor sa barpa hua achchha laga
KHamushi ki tan TuTi wahima achchha laga
aankhon aankhon mein hua ek hadisa achchha laga
milne wale kyun tujhe ye fasla achchha laga
kaun jaane kaun bujhe dastan-dar-dastan
kuchh hawa ka kuchh diye ka hausla achchha laga
jaan ki bazi laga di bhed ke khulne talak
ishq walon ko hamara falsafa achchha laga
ek paheli ko musalsal sochta hun to mujhe
ba-wafa achchha laga ki bewafa achchha laga
lutf-e-manzil hauslon se aa laga tha gam gam
tu safar mein sath tha to rasta achchha laga
umr ki uktahaTen aur dard ke pahlu tamam
jab se 'khullar' tu mila hai aaina achchha laga
Ghazal
Lamha lamha shor sa barpa hua achchha laga
Vishal Khullar