lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega
jo na pur hoga kabhi aisa KHala ban jaega
ye nae naqsh-e-qadam mere bhaTakne se bane
log jab in par chalenge rasta ban jaega
gunj sunni ho to tanha wadiyon mein chiKHiye
ek hi aawaz se ek silsila ban jaega
jazb kar de meri miTTi mein latafat ka mizaj
phir wo tere shahr ki aab-o-hawa ban jaega
khinch laegi bagulon ko ye virani meri
meri tanhai se mera qafila ban jaega
us mein lau rakh dunga main jalte hue ehsas ki
lafz jo honTon se niklega diya ban jaega
jugnuon ki mashalon se sehn ki diwar par
raqs karti raushni ka daera ban jaega
talKHiyan ehsas ki jab KHun mein ghul jaengi
mera chehra mere gham ka aaina ban jaega
ek barhaman ne ye aa ke sehan-e-masjid mein kaha
ishq jis patthar ko chhu le wo KHuda ban jaega
ek sidhi baat hai milna na milna ishq mein
is pe sochoge to ye bhi masala ban jaega
mere sine mein abhi ek jazba-e-benam hai
zabt karte karte harf-e-muddaa ban jaega
dil mein jo kuchh hai wo kah do dost se warna 'salim'
harf-e-na-gufta dilon ka fasla ban jaega

Ghazal
Lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega
Saleem Ahmed