lamha-dar-lamha teri rah taka karti hai
ek khiDki teri aamad ki dua karti hai
silwaTen chiKHti rahti hain mere bistar ki
karwaTon mein hi meri raat kaTa karti hai
waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin
jaane diwar-ghaDi raat mein kya karti hai
chand khiDki mein jo aata tha nahin aata ab
tirgi chaaron taraf raqs kiya karti hai
mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar
ek taswir purani si hansa karti hai
Ghazal
Lamha-dar-lamha teri rah taka karti hai
Abbas Qamar