lamha-dar-lamha guzarta hi chala jata hai
waqt KHushbu hai bikharta hi chala jata hai
aabginon ka shajar hai ki ye ehsas-e-wajud
jab bikharta hai bikharta hi chala jata hai
dil ka ye shahr-e-sada aur ye hasin sannaTa
wadi-e-jaan mein utarta hi chala jata hai
ab ye ashkon ke muraqqe hain ki miTte hi nahin
naqsh patthar pe sanwarta hi chala jata hai
KHun ka rang hai us pe bhi shafaq ki surat
KHak-dar-KHak nikharta hi chala jata hai
wapsi ka ye safar kab se hua tha aaghaz
naqsh-e-pa jis ka ubharta hi chala jata hai
jaise 'tanwir' ke honTon pe likhi hai tariKH
zikr karta hai to karta hi chala jata hai
Ghazal
Lamha-dar-lamha guzarta hi chala jata hai
Tanveer Ahmad Alvi