lambi thi umr mohabbat ki barbaad hue hote hote
kuchh raat kaTi pite pite kuchh raat kaTi rote rote
in pyas bhari aankhon ke siwa us jag mein apna tha hi kya
sab ko dekha chalte chalte sab ko khoya khote khote
jab yaad koi aa jati hai yun dil ki kali khil jati hai
jaise KHwabon ki duniya mein bachcha hans de sote sote
kya jaaniye dil pe kya biti kya jaaniye aankh ne kya dekha
kyun chaunk ke uTh uTh paDte hain hum raaton ko sote sote
faslen bitin mausam badla aur waqt ne yun kya kuchh na kiya
wo dagh na dil se dur hua ek umr kaTi dhote dhote

Ghazal
Lambi thi umr mohabbat ki barbaad hue hote hote
Mushtaq Naqvi