lajyai se nazuk hai ai jaan badan tera
ab chhu nahin sakte hum phula ye chaman tera
aankhen teri nargis hain ruKHsar tere gul hain
chaTwata hai honThon ko ye seb-e-zaqan tera
naKHun tere suraj hain aur chand hatheli hai
aaina-e-KHud-rau hai shaffaf badan tera
dandan tere moti hain KHurshid sa matha hai
dur jhaDte hain baaton mein aisa hai dahan tera
us se tujhe nafrat hai ghairon se mohabbat hai
kab bhaega 'aKHtar' ko ai jaan chalan tera

Ghazal
Lajyai se nazuk hai ai jaan badan tera
Wajid Ali Shah Akhtar