اردو हिंदी
Lahu tezab karna chahta hai | Shaahi Shayari
lahu tezab karna chahta hai

Ghazal

Lahu tezab karna chahta hai

Akram Naqqash

;

lahu tezab karna chahta hai
badan ek aag dariya chahta hai

mayassar se ziyaada chahta hai
samundar jaise dariya chahta hai

ise bhi sans lene de ki har-dam
badan bahar nikalna chahta hai

mujhe bilkul ye andaza nahin tha
wo ab rasta badalna chahta hai

nai zanjir phailae hai banhen
koi aazad hona chahta hai

ruten badlin nae phal-phul aae
magar dil sab purana chahta hai

sukun kahiye jise hai raste mein
do ek pal hi mein aaya chahta hai

hawa bhi chahiye aur raushni bhi
har ek hujra daricha chahta hai

bagulon se bhara hai dasht sara
yahi to roz sahra chahta hai