lahu se uTh ke ghaTaon ke dil baraste hain
badan chhaton ki tarah dhup mein jhulaste hain
hum aise peD hain jo chhanw bandh kar rakh den
shadid dhup mein KHud sae ko taraste hain
har ek jism ke chaaron taraf samundar hai
yahan ajib jaziron mein log baste hain
sabhi ko dhun hai ki shishe ke baam-o-dar hon magar
ye dekhte nahin patthar abhi baraste hain
baha ke le gaya sailab raste jin ke
wo shahr apne KHayalon mein ab bhi baste hain
maal kya hai ujalon ke un dafinon ka
jinhen chhuen to andheron ke nag Daste hain
ajib log hain kaghaz ki kashtiyan gaDh ke
samundaron ki bala-KHeziyon pe hanste hain
Ghazal
Lahu se uTh ke ghaTaon ke dil baraste hain
Aziz Bano Darab Wafa