lahu mein phul khilane kahan se aate hain
nae KHayal na jaane kahan se aate hain
ye kaun log hain har sham taq-e-mizhgan par
charagh-e-yaad jalane kahan se aate hain
KHizan ki shaKH mein hairan hai aankh ki konpal
palaT ke ahd purane kahan se aate hain
samundaron ko sikhata hai kaun tarz-e-KHiram
zamin ki tah mein KHazane kahan se aate hain
zamam-e-abr gurezan hai kis ke hathon mein
muhit-e-KHosha mein dane kahan se aate hain
safar-e-nasib parindo! tumhaare honTon par
ye KHush-gawar tarane kahan se aate hain
KHushi ke ahd chale jate hain kahan 'sayyad'
udasiyon ke zamane kahan se aate hain
Ghazal
Lahu mein phul khilane kahan se aate hain
Sattar Syed