lahu ki lahr mein ek KHwab-e-dil-shikan bhi gaya
phir us ke sath hi aankhen gain badan bhi gaya
badalte waqt ne badle mizaj bhi kaise
teri ada bhi gai mera bankpan bhi gaya
bas ek bar wo aaya tha sair karne ko
phir us ke sath hi KHushbu gai chaman bhi gaya
bas ek talluq be-nam TuTne ke baad
suKHan tamam hua rishta-e-suKHan bhi gaya
Ghazal
Lahu ki lahr mein ek KHwab-e-dil-shikan bhi gaya
Faheem Shanas Kazmi