اردو हिंदी
Lahu ke sath tabiat mein sansanati phire | Shaahi Shayari
lahu ke sath tabiat mein sansanati phire

Ghazal

Lahu ke sath tabiat mein sansanati phire

Arshad Malik

;

lahu ke sath tabiat mein sansanati phire
ye sham sham-e-ghazal si hai gungunati phire

dhaDak raha hai jo pahlu mein ye charagh bahut
bala se raat jo aae to raat aati phire

jawan dinon ki hawa hai chale chale hi chale
mere wajud mein Thahre ki aati jati phire

ghurub-e-sham to din bhar ke fasle par hai
kiran tulu ki utri hai jagmagati phire

gham-e-hayat nasha hai hayat lambi kasak
lahu mein Thokaren khae ki Dagmagati phire

lo tai hua ki KHala mein hai mustaqar apna
zamin jaise pukare jahan bulati phire