lahu ka zaiqa hi jab zaban tak na gaya
to kya ajab hai jo zaKHmon pe dhyan tak na gaya
wo ek wahm jo sarmaya-e-faqiri tha
yaqin mein is tarah badla guman tak na gaya
badal gai kahin raste mein kimiya us ki
uTha ghubar magar aasman tak na gaya
ana-parast the aise badan to phir hai badan
hamara saya kabhi saeban tak na gaya
bata ke rah gae sab daw-pech sahil se
hawa ke sath koi baadban tak na gaya
KHuda ka shukr ki mere hi jurm kafi the
faqih-e-shahr mere KHandan tak na gaya
hamare tir chhupae nahin gae the 'munir'
hamara hat hi apni kaman tak na gaya
Ghazal
Lahu ka zaiqa hi jab zaban tak na gaya
muneer saifi

