lahu ka dagh na tha zaKHm ka nishan na tha
wo mar chuka tha kisi ko magar guman na tha
main chal paDa tha kahin ajnabi dishaon mein
hawa ka zor tha kashti mein baadban na tha
main us makan mein muddat se qaid tha ki jahan
koi zamin na thi koi aasaman na tha
meri shikast meri fath kuchh nahin yani
wo hadsa tha koi mera imtihan na tha
tumhaare daur mein har aadmi hai but ki tarah
hamare ahd mein patthar bhi be-zaban na tha
kisi khanDar mein hi mujh ko diya jalana paDa
chamakte shahr mein mera koi makan na tha
main sabz rang ka chashma pahan chuka tha 'kalim'
meri nigah mein manzar lahuluhan na tha
Ghazal
Lahu ka dagh na tha zaKHm ka nishan na tha
Shahid Kaleem