اردو हिंदी
Lahje ki udasi kam hogi baaton mein khanak aa jaegi | Shaahi Shayari
lahje ki udasi kam hogi baaton mein khanak aa jaegi

Ghazal

Lahje ki udasi kam hogi baaton mein khanak aa jaegi

Anjum Barabankvi

;

lahje ki udasi kam hogi baaton mein khanak aa jaegi
do-roz hamare sath raho chehre pe chamak aa jaegi

ye chand-sitaron ki mahfil malum nahin kab raushan ho
tum pas raho tum sath raho jazbon mein kasak aa jaegi

kuchh der mein baadal barsenge kuchh der mein sawan jumenge
tum zulf yun hi lahrae raho mausam mein sanak aa jaegi

jab us ki malahat ke qisse likkhunga ghazal ke sheron mein
har rukhe-phike misre mein tasir-e-namak aa jaegi

suraj ko zara kuchh Dhalne do kuchh waqt ka dariya bahne do
jo dhup abhi tak sar par hai wo panw talak aa jaegi

ye soch ke tere qadmon ki kuchh KHak uDa di gulshan mein
har phul mein tere chehre ki thoDi si jhalak aa jaegi

jis baat ka matlab KHushbu hai har ganw ke kachche raste par
us baat ka matlab badlega jab pakki saDak aa jaegi

ye pyar ka din hai pyar ka din iqrar karo 'anjum'-sahab
is din ki zara si qadr karo jiwan mein mahak aa jaegi