lahje ka rang lafz ki KHushbu bhi dekh le
aa mujh se kar kalam mujhe tu bhi dekh le
main chaudhwin ka chand samundar tera badan
meri kashish ka bolta jadu bhi dekh le
khulta hun tere ruKH ki sajal chandni ke pas
pahchan le mujhe meri KHushbu bhi dekh le
tu KHar-zar aur main abr-e-barhana-pa
mere safar ka karb kabhi tu bhi dekh le
ek shab rida-e-abr se bahar nikal ke aa
kis kis ko hai nigah pe qabu bhi dekh le
mere lahu ki gunjti fariyaad par na ja
aankhon mein apni tairte aansu bhi dekh le
manzil pe sirf chalte hue chand hi na dekh
chamke kahin jo rah mein jugnu bhi dekh le
dast-e-saba ki Theri hui loriyon se bach
dasht-e-wafa mein chalti hui lu bhi dekh le
ghere mein aasman ne tujhe le liya to kya
is dam se farar ka pahlu bhi dekh le
sachchai ka alam tu uThata to hai magar
kaTte hain is jihad mein bazu bhi dekh le
barham hai roz-o-shab ka mizaj-e-sukun-pasand
bikhra diye hain waqt ne gesu bhi dekh le
gunjaan paniyon pe barasne se faeda
ai abr tishnagan-e-lab-e-ju bhi dekh le
'zulfi' jo mere tarz-e-ada ka asir hai
wo kash mere sher ka jadu bhi dekh le

Ghazal
Lahje ka rang lafz ki KHushbu bhi dekh le
Saif Zulfi