lahakti lahron mein jaan hai kinare zinda hain
wajud-e-ab ke sab istiare zinda hain
wo hijraton ki hikayat tumhein sunaenge
jinhon ne sar se ye tufan guzare zinda hain
hamare karb kitabon mein hain abhi mahfuz
wo sare safhe wo sab goshware zinda hain
azal se jabr o sadaqat ki jang jari hai
abhi talak nahin mazlum haare zinda hain
majalis-e-sitam-ijad ka nishan nahin
mohabbaton ke abhi tak idare zinda hain
jo tere gham mein jale hain wo phir bujhe hi nahin
jab in ki rakh kuredo sharare zinda hain
abhi tumhaare taDapne ke din nahin aae
abhi to KHair se KHadim tumhaare zinda hain
hum apne jine ka ab kya jawaz pesh karen
ki ab na hum na zamane hamare zinda hain
har ek shaKHs ko is baat ka shuur nahin
jo 'ram' haq pe mare hain wo sare zinda hain

Ghazal
Lahakti lahron mein jaan hai kinare zinda hain
Ram Riyaz