اردو हिंदी
Laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi | Shaahi Shayari
laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi

Ghazal

Laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi

Yusuf Jamal

;

laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi
rangaten chehron ki is surat uDa di jaengi

KHushk peDon par nae mausam ugane ke liye
zard patton ki ye tahriren miTa di jaengi

qaht nindon ka paDega chahaton ke khet mein
KHwab ki faslen agar sari jala di jaegi

in sarabon mein muqayyad mujh se qaidi ke liye
kya fasilen ret ki unchi uTha di jaengi

phir samundar ke makanon ka bhi lenge jaeza
siDhiyan pani ki tah tak jab bana di jaengi

kya KHabar thi shak ki KHatir dosti ke nam par
aaj apni aastinen bhi dikha di jaengi

jaeza jab mere ghar ka lene wo aae 'jamal'
TuTi phuTi hanDiyan bhi khankhana di jaengi