اردو हिंदी
Laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye | Shaahi Shayari
laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye

Ghazal

Laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye

Ali Sardar Jafri

;

laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye
aae hum bazm mein phir jurat-e-rindana liye

ishq pahlu mein hai phir jalwa-e-jaanana liye
zulf ek hath mein ek hath mein paimana liye

yaad karta tha hamein saqi-o-mina ka hujum
uTh gae the jo kabhi raunaq-e-mai-KHana liye

wasl ki subh shab-e-hijr ke baad aai hai
aaftab-e-ruKH-e-mahbub ka nazrana liye

asr-e-hazir ko mubarak ho naya daur-e-awam
apni Thokar mein sar-e-shaukat-e-shahana liye