lagta hai jis ka ruKH-e-zeba mah-e-kaamil mujhe
us ne hi samjha na lekin pyar ke qabil mujhe
yun to meri dastaras mein kya nahin sab kuchh to hai
jis ko chaha ho na paya bas wahi hasil mujhe
aaKHirash qatil ki aankhon mein bhi aansu aa gae
dekha jab is ne taDapte surat-e-bismil mujhe
manta hun bul-hawas bhi hote hain aashiq magar
un gunahgaron mein kyun karta hai tu shamil mujhe
ho gaya gharqab dariya phans ke main girdab mein
fasle se dekhta hi rah gaya sahil mujhe
kab ka kar-e-ishq mein 'ghazi' ka jiwan kaT gaya
kahne do kahte hain jo nakara-o-kaamil mujhe

Ghazal
Lagta hai jis ka ruKH-e-zeba mah-e-kaamil mujhe
Shahid Ghazi