laga raha hun har ek dar pe aaina bazar
koi to dekhe sune dam bolta bazar
saja to KHub hai ab ke naya naya bazar
zamana jaan to le kya hai zaiqa bazar
parae jaan ki qimat faqat nazara nahin
KHudara band ho har din ka hadsa bazar
yahi to hota hai shishe ke karobar ka hashr
ujaD gaya hai achanak hara-bhara bazar
shab-e-siyah se KHaif hai yun meri diwar
saja ke baiThi hai aangan mein sham ka bazar
bas ek tabassum-e-dil se KHarid lije ise
jahan bhi jaiye is jaan ka hai khula bazar
phir apne shor ki qimat samajh sakega 'qaus'
na KHwab dekh zara ja Tahal ke aa bazar
Ghazal
Laga raha hun har ek dar pe aaina bazar
Qaus Siddiqui