laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein
baham har mauj se chalne lagi talwar pani mein
nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhaar pani mein
habab aisa na ho shisha bane ek bar pani mein
suna ai bahr-e-KHubi teri aThkheli se chalne ki
uDai rafta rafta mauj ne raftar pani mein
jhalak is tere kafash-e-pusht-e-mahi ki agar dekhe
kare qalib tahi mahi bhi phir lachaar pani mein
nahin laKHt-e-jigar ye chashm mein phirte ki mardum ne
charagh ab kar ke raushan chhoDe hain do-chaar pani mein
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
kahun kya sath ghairon ke to us be-did ne hamdam
nahane ke liye hargiz na ki takrar pani mein
kaha main ne jo itna rakh qadam is dida-e-tar par
laga kahne ki aati hai meri paizar pani mein
'nasir' aasan nahin ye baat pani saKHt mushkil hai
uThai reKHte ki tu ne kya diwar pani mein
Ghazal
Laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein
Shah Naseer