lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui
ek samay wo achchhi laDki dil mein qaid hui
kore kaghaz par khenchi thi main ne ek taswir
jangal jangal uDti titli dil mein qaid hui
us ke baad wahi taswiren sab ko dikhata hun
KHwabon ki wo duniya sari dil mein qaid hui
dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai
yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui
kaun sa tara us ka ghar hai soch raha tha main
raat pari aangan mein utri dil mein qaid hui
aawara baadal the hum bhi kya karte aaKHir
ek kiran ghar mein le aai dil mein qaid hui
Ghazal
Lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui
Jayant Parmar