lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se
ek ek rang alag kar sakta hun main KHushbu se
donon pareshan donon bojhal donon hi ghanghor
gahra rishta hai baadal ka tere gesu se
meri peshani par jhalki mere lahu ki aag
raat-Dhale kuchh chand sa ugna us ke pahlu se
achchhi surat koi achanak samne jab aa jae
apni hi ungli kaT jati hai apne chaqu se
hath ko hath ghani zulmat mein jab na samjhai diya
samt mili hai ek aawara tanha jugnu se
raat gae jab so jata hai pani gahri nind
naghmon ki lahren uThti hain chalte chappu se
'ramz' uThe hain hum bhi sambhaale apna tir kaman
hum ko bhi wahshat karni hai aaj ek aahu se
Ghazal
Lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se
Mohammad Ahmad Ramz