lafz to hon lab-e-izhaar na rahne pae
ab samaat pe koi bar na rahne pae
kis tarah ke hain makin jin ki tag-o-dau hai yahi
dar to baqi rahen diwar na rahne pae
is mein bhi pahlu-e-taskin nikal aata hai
ek hi surat-e-azar na rahne pae
zehn-ta-zehn mahakta hi rahe zaKHm-e-hunar
fasl-e-harf o lab-e-izhaar na rahne pae
ab ke mausam mein ye meyar-e-junun Thahra hai
sar salamat rahen dastar na rahne pae
koi darman ki hawa chiKH rahi hai 'mohsin'
naKHl-e-hasti pe koi bar na rahne pae
Ghazal
Lafz to hon lab-e-guftar na rahne pae
Mohsin Bhopali