lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar
is qadar izhaar ki be-manawiyyat se na Dar
dekh! gulshan mein abhi shaKH-e-tahayyur banjh hai
phul hona hai to khilne ki aziyyat se na Dar
hamrah-e-mausam safar ki bastiyon ke darmiyan
naqsh-bar-diwar barish ki wasiyyat se na Dar
ek halki si sada to bin zaban rakhta hai tu
chaar jaanib KHamushi ki aksariyyat se na Dar
aasman ek din patinga ho sar-e-sham-e-zamin
mom kar apne lahu ko jal aziyyat se na Dar
Ghazal
Lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar
Akhtar Sheikh