اردو हिंदी
Lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai | Shaahi Shayari
lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai

Ghazal

Lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai

Kavish Badri

;

lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai
masKH ho kar surat-e-mani suKHan mein aa gai

nisf aankhen khol kar hi us ne dekha tha mujhe
chalne phirne ki sakat mafluj tan mein aa gai

ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan
ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai

us ke chehre ka mujhe mardana-pan achchha laga
chashni namkin si sare badan mein aa gai

kyun sapera-pan tere nainon mein paida ho gaya
is qadar shoKHi kidhar se bankpan mein aa gai

ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya
jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai

ek wahshi sinf se hum ne sharafat sikh li
panj-tan ki lau ghazal ki anjuman mein aa gai

KHuld ki taswir 'kawish' hu-ba-hu kashmir thi
lash us ki pairahan se KHud kafan mein aa gai