laDakpan mein ye zid hai jaani tumhaari
abhi dekhni hai jawani tumhaari
kaha main ne Thahro to bole ye hans kar
kabhi phir sunenge kahani tumhaari
nisar un ke jaen jo sach jaane us ko
fasana hamara zabani tumhaari
baDi KHidmaten kin ab aazad kar do
bahut dekh li mehrbani tumhaari
chhupaun na kis tarah se jaan badan mein
meri jaan ye hai nishani tumhaari
bahut saf hain galiyan wah-wa hai
suni barha KHush-bayani tumhaari
muqarrar bala aane wali hai koi
nahin be-sabab mehrbani tumhaari
'nasim' ab to ghabra gaya dil hamara
sune kaun pahron kahani tumhaari

Ghazal
LaDakpan mein ye zid hai jaani tumhaari
Naseem Dehlvi