laD hi jae kisi nigar se aankh
kash Thahre kahin qarar se aankh
kuchh mohabbat hai kuchh murawwat hai
aaj paDti hai mujh pe pyar se aankh
chalte rahte hain KHub tir-e-nigah
baz aati nahin shikar se aankh
TikTiki se kahan mili fursat
aa gai aajiz intizar se aankh
kya paDi hai bala ko us ki arz
kyun milae umid-war se aankh
koi tadbir ban nahin paDti
kya mile chashm-e-sharmsar se aankh
nichi nazron se dekh lete hain
kya milaen wo be-qarar se aankh
did-bazi ka jis ko lapka hai
kab Thaharti hai iztirar se aankh
nazron nazron mein baaten hoti hain
KHub milti hai raazdar se aankh
kyun ye milti hai be-wafaon se
kash laDti wafa-shiar se aankh
kabhi dar par kabhi hai raste mein
nahin thakti hai intizar se aankh
marne ke baad bhi thi sharm un ko
ki churai mere mazar se aankh
subh-e-mahshar uTha nahin jata
ab bhi khulti nahin KHumar se aankh
dil ghani hai mera to kya parwa
kab milata hun mal-dar se aankh
kyun jhukaun nazar bashir apni
kabhi jhapki nahin hazar se aankh
Ghazal
LaD hi jae kisi nigar se aankh
Bashiruddin Ahmad Dehlvi