labon se aankh se ruKHsar se kya kya nahin karta 
wo jadu kaun sa hai jo ki wo chehra nahin karta 
main sare kaghazon pe ek misra likh ke rakkhunga 
wo jab tak aa ke mere sher ko pura nahin karta 
fasadon mein jo shamil hain wo mohre hain siyasat ke 
KHud apne aap koi bhi yahan danga nahin karta 
hawaon mein nagar ki is qadar kuchh zahr phaila hai 
na gul dete hain KHushbu peD bhi saya nahin karta 
jo likhta hun wo hota hai faqat taskin ki KHatir 
main apni shairi ka shahr mein sauda nahin karta 
mujhe manzur hai bimar rahna umr-bhar yun hi 
wo jab tak hath se chhu kar mujhe achchha nahin karta 
chalo mana ki apni ahmiyat hai 'shoKH' daulat ki 
zamane mein magar har kaam hi paisa nahin karta
        Ghazal
Labon se aankh se ruKHsar se kya kya nahin karta
Parvindar shokh

