labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen
KHuda kare mere aansu kisi ke kaam aaen
jo ibtida-e-safar mein diye bujha baiThe
wo bad-nasib kisi ka suragh kya paen
talash-e-husn kahan le chali KHuda jaane
umang thi ki faqat zindagi ko apnaen
bula rahe hain ufuq par jo zard-ru Tile
kaho to hum bhi fasanon ke raaz ho jaen
na kar KHuda ke liye bar bar zikr-e-bahisht
hum aasman ka mukarrar fareb kyun khaen
tamam mai-kada sunsan mai-gusar udas
labon ko khol ke kuchh sochti hain minaen
Ghazal
Labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen
Ahmad Nadeem Qasmi