lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha
jis ko na main samjha tha wahi mera KHuda tha
utra tha rag-o-pai mein meri zahr ke manind
wo dard ki surat mere pahlu se uTha tha
har chand ki nisbat to mujhe gul se rahi thi
main bu ki tarah pairahan-e-gul se juda tha
tanhai ka ehsas raha us se na mil kar
milne pe ye ehsas magar aur siwa tha
mahrum rakha tha mujhe meri hi ana ne
jo uTh na saka tha wo mera dast-e-dua tha
jaise kahin kuchh rakh ke koi bhul gaya ho
is tarah azal se wo mujhe DhunD raha tha
dil kah ke use pahlu-e-'ishqi' mein jagah di
wo shahr ki ek bar ujaD kar na basa tha
Ghazal
Lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha
Shahid Ishqi

