lab par dil ki baat na aai
wapas biti raat na aai
KHushk huin ro ro kar aankhen
madh-mati barsat na aai
meri shab ki tariki mein
taron ki saughat na aai
mai-KHane ki mast faza mein
ras mujhe haihat na aai
dil to umDa ro na saka main
chhai ghaTa barsat na aai
mera chand nikalne ko tha
sham se pahle raat na aai
jis par mahfil luT jati hai
tujh ko 'ziya' wo baat na aai
Ghazal
Lab par dil ki baat na aai
Zia Fatehabadi