lab-e-rangin hain tere rashk-e-aqiq-e-yamani
zeb deti hai tujhe nam-e-KHuda kam-suKHani
haar kal pahne the phulon ke nishan hai ab tak
KHatm hai gul-badanon mein teri nazuk-badani
sharm se aab hue nishkar-o-qand-o-nabaat
dekh kar ai shakarin-lab teri shirin-dahni
mewa-e-bagh-e-iram us ko na bhawe hargiz
taubar-e-bosa kiya jis ne wo seb-e-zaqni
jhuTe wade tere ai jaan karun sab bawar
dil shikasta na kare gar teri paiman-shikani
shama-ruyon se jise sham-o-sahar sohbat ho
hai saza-war use dawa-e-KHush-anjumani
is qadar mahke hai us kakul-e-mushkin ki shamim
justuju mein hue 'bedar' ghazal-e-KHutani
Ghazal
Lab-e-rangin hain tere rashk-e-aqiq-e-yamani
Meer Mohammadi Bedar