lab-e-KHushk dar-tishnagi-murdagan ka
ziyarat-kada hun dil-azurdagan ka
hama na-umidi hama bad-gumani
main dil hun fareb-e-wafa-KHurdagan ka
shaguftan kamin-gah-e-taqrib-jui
tasawwur hun be-mojib aazurdagan ka
gharib-e-sitam-didah-e-baz-gashtan
suKHan hun suKHan bar lab-awurdagan ka
sarapa yak-aina-dar-e-shikastan
irada hun yak-alam-afsurdagan ka
ba-surat takalluf ba-mani tassuf
'asad' main tabassum hun pazhmurdagan ka
Ghazal
Lab-e-KHushk dar-tishnagi-murdagan ka
Mirza Ghalib