اردو हिंदी
Lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai | Shaahi Shayari
lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai

Ghazal

Lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai

Goya Faqir Mohammad

;

lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai
aaj isa se ye bimar juda hota hai

zulf ko dast-e-hinai se jo chhuta hai wo shoKH
to giraftar wahin dard-e-hina hota hai

tha giraftar-e-shab-o-roz nigahbani mein
hum jo ab chhuTen hain sayyaad riha hota hai

phir bahaar aati hai ai KHar-e-bayaban KHush ho
aaj kal phir guzar aabla-pa hota hai

mar gae hum to saba lai jawab-e-nama
wahi hota hai jo qismat mein likha hota hai