اردو हिंदी
Lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai | Shaahi Shayari
lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai

Ghazal

Lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai

Majid Deobandi

;

lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai
sachchai ki apni rit purani hai

lab par aah-e-musalsal aankh mein pani hai
tanhai ka har lamha nuqsani hai

shor hamesha rahta hai is kuche mein
dil hai ya sine mein ek zindani hai

jis ko chahen be-izzat kar sakte hain
aap baDe hain aap ko ye aasani hai

kamzoron par rahmat ban kar chha jao
mera qaul nahin hukm-e-rabbani hai

hum sab un ke daman se wabasta hain
mushkil mein bhi hum ko ye aasani hai

tujh ko zamana mujh se chhine na-mumkin
tera mera rishta ruhani hai

main bhi un ke maddahon mein shamil hun
is duniya par meri bhi sultani hai

dharti ambar yari us ki hai sab se
'majid' jis ko kahte hain sailani hai