lakh bahkae ye duniya ho gaya to ho gaya
dil se jo ek bar mera ho gaya to ho gaya
kyun nadamat ho mujhe la-iKHtiyari fel par
main teri nazron mein ruswa ho gaya to ho gaya
kam ziyaada ho to sakta hai magar chhuTta nahin
jis ko jo ek bar nashsha ho gaya to ho gaya
dil bahut rota hai lekin us but-e-maghrur se
munqat'a har ek rishta ho gaya to ho gaya
muntaqil hota hai lekin wo kabhi marta nahin
jo sada-e-kun se paida ho gaya to ho gaya
apni marzi se yahan din kaTne ke jurm mein
main agar duniya mein tanha ho gaya to ho gaya
dekhta hai kaun 'babar' kis ka kya kirdar hai
jis se jo mansub qissa ho gaya to ho gaya
Ghazal
Lakh bahkae ye duniya ho gaya to ho gaya
Faiz Alam Babar