laiq-e-did wo nazara tha
lakh neze the sar hamara tha
ek aandhi si kyun badan mein hai
us ne shayad hamein pukara tha
shukriya reshmi dilase ka
tir to aap ne bhi mara tha
baadban se ulajh gaya langar
aur do hath par kinara tha
sahibo baat dastaras ki thi
ek jugnu tha ek sitara tha
aasman bojh hi kuchh aisa hai
sar jhukana kise gawara tha
ab namak tak nahin hai zaKHmon par
doston se baDa sahaara tha

Ghazal
Laiq-e-did wo nazara tha
Muzaffar Hanfi