اردو हिंदी
Lai hayat aae qaza le chali chale | Shaahi Shayari
lai hayat aae qaza le chali chale

Ghazal

Lai hayat aae qaza le chali chale

Sheikh Ibrahim Zauq

;

lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale

I came as life had brought me, as death takes me I go
I came not of my own accord nor willingly I go

ho umr-e-KHizr bhi to ho malum waqt-e-marg
hum kya rahe yahan abhi aae abhi chale

Had I lived as long as Khizr, then dying I would say
where did I stay long enough, I came and went away

hum se bhi is bisat pe kam honge bad-qimar
jo chaal hum chale so nihayat buri chale

on this chequered board would be few novices like me
all the moves that I have made were hopeless surely

behtar to hai yahi ki na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale

it’s better if the heart is not enmeshed in life, it's true
what's to be done if without being attached one cannot do?

laila ka naqa dasht mein tasir-e-ishq se
sun kar fughan-e-qais baja-e-hudi chale

in the desert Laila's camel does its zeal display
Hearing Qais's plaintive cry it ventures forth that way

nazan na ho KHirad pe jo hona hai ho wahi
danish teri na kuchh meri danish-wari chale

what's got to happen, will, don’t pride in your intellect
your wisdom or my wisdom here, will be of no effect

duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale

jate hawa-e-shauq mein hain is chaman se 'zauq'
apni bala se baad-e-saba ab kabhi chale