اردو हिंदी
Lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen | Shaahi Shayari
lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen

Ghazal

Lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen

Shahid Ishqi

;

lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen
har shaKHs hai usi ka KHaridar kya kahen

ek dastan-e-tesha har ek sang-o-KHisht hai
kyun bolte nahin dar-o-diwar kya kahen

us ki gali se pher ke le aae jaan-o-dil
kitna hai zindagi se hamein pyar kya kahen

dushman hue hain apne hue jab se us ke dost
KHud ko kahen diwana ki hoshyar kya kahen

hum bhi wahi hain tum bhi wahi shahr bhi wahi
hail magar hai waqt ki diwar kya kahen

saz-e-shikast-e-dil to sada se KHamosh hai
hota hai kaise sher mein izhaar kya kahen