la raha hai mai koi shishe mein bhar ke samne
kis qadar pur-kaif hai manzar nazar ke samne
main to is aalam ko kya se kya bana deta magar
kis ki chalti hai hayat-e-muKHtasar ke samne
phir na dena tana-e-nakaami-e-zauq-e-nazar
hausla hai kuchh to aa jao nazar ke samne
aah ye rudad-e-hangam-e-tarab ai gham-gusar
zikr-e-gulshan jaise ek be-baal-o-par ke samne
ho chuka jab KHatma sari umidon ka to phir
ja rahe ho kyun 'shakil' us fitna-gar ke samne
Ghazal
La raha hai mai koi shishe mein bhar ke samne
Shakeel Badayuni