kyunki diwana beDiyan toDe
is ko jaane hai panw ke toDe
sab ne moDa hai munh KHuda na kare
teri tarwar hum se munh moDe
tere kuche mein sar shahidon ke
hain paDe jaise baT ke roDe
zarf TuTa to wasl hota hai
dil koi TuTa kis tarah joDe
ek parwaz mein dikhaun par
jo wo sayyaad mere tain chhoDe
kohkan jaan-kani hai mushkil kaam
warna bahtere hain pathar phoDe
har ghaDi hum ko aazmana kya
chahne wale aur hain thoDe
qatl karta hai tu jo 'hatim' ko
kaun uThawega tere naktoDe
Ghazal
Kyunki diwana beDiyan toDe
Shaikh Zahuruddin Hatim