kyun na hon shad ki hum rahguzar mein hain abhi
dasht-e-be-sabz mein aur dhup nagar mein hain abhi
surKH aazar hi mere zaKHmon pe na ho yun masrur
kai shahpar mere TuTe hue par mein hain abhi
in dhundalkon ki har ek chaal to shatir hai magar
nuqrai naqsh mere dast-e-hunar mein hain abhi
umr bhar main to raha KHana-badoshi mein idhar
kuchh kabutar mere aslaf ke ghar mein hain abhi
ek muddat se koi sabz na ubhra is mein
ghonsle chil ke be-barg shajar mein hain abhi
shahr ki dhul fazaen hi muqaddar mein rahin
aam ke bor magar meri nazar mein hain abhi
rakh ke Dher pe matam na karo dekho bhi
kai shole kisi be-jaan sharar mein hain abhi
ek sahir kabhi guzra tha idhar se 'amabar'
ja-e-hairat ki sabhi us ke asar mein hain abhi
Ghazal
Kyun na hon shad ki hum rahguzar mein hain abhi
Ambar Bahraichi