اردو हिंदी
Kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath | Shaahi Shayari
kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath

Ghazal

Kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath

Anand Narayan Mulla

;

kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath
umr kaTi hai isi dard-e-dil-aram ke sath

mujh ko duniya se nahin apni tabahi ka gila
main ne KHud saz kiya gardish-e-ayyam ke sath

ab wahi zist mein hai ye mere dil ka aalam
jaise kuchh chhuTta jata hai har ek gam ke sath

tujh se shikwa nahin saqi teri sahba ne magar
dushmani koi nikali hai mere jam ke sath

jo kare fikr-e-rihai wahi dushman Thahre
uns ho jae na tair ko kisi dam ke sath

zist ke dard ka ehsas kabhi miT na saka
sin KHushi ke bhi kaTe ek gham-e-be-nam ke sath

man-e-taqsir kahun dawat-e-taqsir kahun
nigah-e-narm bhi hai garmi-e-ilzam ke sath

apni is aaj ki taqat pe na yun itrao
mehr uTTha tha har ek subh-e-shab-anjam ke sath

main tujhe bhul chuka hun magar ab bhi ai dost
aati jati hai nigahon mein chamak sham ke sath

ab bhi kafi hai ye har shor pe chhane ke liye
koi ulfat ki azan de to tere nam ke sath

aa gaya KHatm pe sayyaad tera daur-e-fusun
ab to dana bhi nahin hai qafas-o-dam ke sath

kaKH-o-aiwan yahi guzre hue dauron ke na hon
gard si aai hai kuchh daman-e-ayyam ke sath

main tera ho na saka phir bhi mohabbat main ne
jab bhi duniya ko pukara to tere nam ke sath

KHuld ujDi hai to ab apne farishton se basa
hum se kya hum to nikale gae ilzam ke sath

hujra-e-KHuld hai hur-e-sharar-andam nahin
saqiya aatish-e-rangin bhi zara jam ke sath

zikr-e-'mulla' bhi ab aata to hai mahfil mein magar
phiki tarif mein lipTe hue dushnam ke sath

meri koshish hai ki sheron mein samo dun 'mulla'
subh ka hosh bhi diwangi-e-sham ke sath

do kinaron ke hun mabain mein ek pal 'mulla'
rakhta jata hun sutun ek har ek gam ke sath