kyun musht-e-KHak par koi dil daghdar ho
mar kar bhi ye hawas ki hamara mazar ho
baDh jae gham ka silsila kohsar ki tarah
tulani gar ye zindagi-e-mustaar ho
is said-gah mein wahi niklega bach ke saf
jo said sab se pahle ajal ka shikar ho
us bul-hawas ki maut ke qurban jaiye
jo phir dobara jine ka ummid-war ho
hasti ka tauq to hai qayamat pas-e-wafat
ya-rab kahin ye mere gale ka na haar ho
yaksan hai ahl-e-dil ke liye imbisat-o-gham
bagh-e-jahan mein aae KHizan ya bahaar ho

Ghazal
Kyun musht-e-KHak par koi dil daghdar ho
Shah Deen Humayun